Barish ki Bate

1.Happy Rainy Day

   Dua Hai Barish Ke Jitne Qatre Girain

   Utni Hi Apko Khusyan mile.


2.Na wo mausam rahe,

   na wo numaishe,

    na wo ghata rahi,

    na wo khawahishe,

    lamho ki barish ne aisa bhigoya hai hame,

    ki na wo sawan rahe, na wo barishe.

3. Lo aaj Phir Ronay Laga hai Asmaan,

Ban ke Barish ..

Shayad Aaj us ko Phir

Ehsas Hua Hai Meri Tanhai ka!


4. Mausam hai barish ka aur yad tmhari aati hai,

Barish k har aik katre se aawaz tmhari aati hai,

Badal jab garajte hain dil ki dharkan barhti hai,

Aur dil ki har ek dharkan se aawaz tumhari aati hai,

jab taiz hawaein chalti hain to jaan humari jati hai,

Mausam hy barish ka aur yaad tumhari aati hai.

5 . Barish Ka Mousam Bahut Tadpata Hai,

Unki Yaad Aati Hai Jinhe Dil Chahta Hai,

Lekin Wo Aayein Bhi To Kaise,

Na Unke Paas Rain Coat Hai Aur Na Chhata Hai.

Comments